اعمش نے ابراہیم نخعی سے سابقہ سند کے ساتھ روایت کی کہ حضرت عبد اللہ بن مسعود رضی ‌اللہ ‌عنہ نے کہا : رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا:’’ کوئی انسان جس کے دل میں رائی کے دانے کے برابر میں ایمان ہے ، آگ میں داخل نہ ہو گا اور کوئی انسان جس کے دل میں رائی کے دانے کے برابر تکبر ہے ، جنت میں داخل نہ ہو گا ۔ ‘‘
Sahih Muslim hadees no:266

Aams ne Ibrahim naqi se sabqha sanad ke saath riwayat ki hazrat abdulla bin masood ؓ ne kaha rasool Allahﷺ ne farmaya: koi insaan jiske dil me raai ke Dane ke barabar me emaan hai aag me daqhil na hoga aur koi insaan jiske dil me raai ke Dane ke barabar takabbur hai jannath me daqhil na hoga,


Hum kabhi apne aap me takabbur ko na daqhil hone de chahe wo Elm ka ho ya daulath Ka ho sabse zyada apne Amal Ka ya apne aqlaaq Ka ho koun sa bhi ho is se bache ye insaan ki bahut badi bimari hai Jo Hume jeete jee barbad kardegi

Comments

Popular posts from this blog