عمرو بن حارث نے یزید بن ابی حبیب سے ، انہوں نے ابوخیر سے روایت کی اور انہوں نے حضرت عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی ‌اللہ ‌عنہ سے سنا، وہ فرما رہے تھے : ایک آدمی نے رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ سے پوچھا: مسلمانوں میں سے بہتر کون ہے ؟ آپ نے فرمایا:’’ جس کی زبان اور ہاتھ سے دیگر مسلمان امن میں ہوں
Sahih Muslim hadees no :161

Amru bin haris ne yazeed bin abi habeeb se,unhone Abu khair se riwayat ki aur unhone hazrat abdulla bin amru bin aas  ؓ se suna ,wo farmate they :
Ek aadmi ne rasool Allah ﷺ se pucha :
Musalmano me se behtar koun hai ?
Aap ﷺ ne farmaya:jis ki zaban aur haat se digar musalman aman me ho,


Dekhiye Allah ke rasool Allahﷺ ne kitni achchi baat kahi Zara ghaur kare sabse achcha musalman so hai Jo kisi dusrou ko apne zaban aur haat se takleef na pahunchaye 


Comments

Popular posts from this blog