ایک آدمی نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا کون سا اسلام بہتر ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تو کھانا کھلائے اور ہر شخص کو سلام کرے خواہ اس کو تو جانتا ہو یا نہ جانتا ہو۔
Sahih Bukhari hadees no:28

Ek aadmi rasool Allahﷺ se Pucha kounsa Islam behtar hai ?
Aap ﷺ ne farmaya ke tu khana khilaye aur har shaksh ko salam kare qhawa vusko Tu janta ho ya na janta ho,

Aap ﷺ pucha gaya ke achcha Islam koun sa hai tho aap ne kitni achchi baat kahi,
hum dekhte hai ke hum ghar se bahar nikle tho kitna aise insaan Jo bhuke nazar aate hai jinhe hum dekh kar anjaan hojate hai 
Aur koi anjana insaan hamare samne aajaye tho hum vuse salam Nahi karte,
Aisa na kare, aap ﷺ ne Jo farmaya vus par thoda Sa Amal karke tho dekhe 
Hamare andar kaisi tabdili aati hai aur hamari izzat kitni buland hoti hai
Jithna humse hosake vutna hi kare

Comments

Popular posts from this blog