Nadan insaan

Ek din hazrath musa alaisalam ne Allah tala se kaha Mai aapki Rahemath aur insaan ke gunah dekhna chahata Hun

Allah talane farmaya piche dekho ,
Dekha tho ek bahut bada samandar me ek darakth pe ek chudiya Apne muh me mitti lekar baiti hai, hazrath musa ne  kaha ye kya hai ?
Allah tala ne farmaya samandar meri rahemath
Hai aur ye darakth duniya,ye chudiya insaan aur iske muh me thodisi Jo mitti hai vo vus ke thode se gunah hai agar ye apna muh khol kar
Mitti pani me girade tho meri rahemath ko koi fark nahi padta
Kyon na insaan tauba kare aur
Mai maaf na karu

Comments

Popular posts from this blog