Posts

Showing posts from February, 2017
Image
Zindagi me ek waqt aisa bhi aata hai Jab insaan har rishte ki haqeeqat se waqif hojata hai,tab kuch log tho dilo me jagah bana letein hai, Aur kuch log hamesha ke liye dilse utar jate hai. Jab Hume koi takleef Ka samna Karna padta hai tho vus waqt maloom hota hai apney kam aate hai ya ghair kam aate hai Jo bhi ho vus waqt Jo hamari takleef me shamil hote hai wo hamesha dil me apna ghar bana letein hai
Image
Hamari sabse badi khush Kismath ye hai ke Allah tala ne hame ek musalman ke ghar me paida kiya,is baat par Allah Ka jitna bhi sukar ada kare kam hai Ye bilkul sach hai ke hame Allah ne bin mange bin puche emaan ki daulath se nawaza 
Image
Achche sawal !      Achche jawab ! Khareeb kya hai ?   Qhayamath Aur khareeb tar ?   Mauth Ajeeb kya hai ?     Duniya Aur ajeeb tar ?     Talab e duniya Wajib kya hai ?     Tauba Aur wajib tar ?     Jawani me tauba Mushkil kya hai ?   Qhabar me utarna Aur mushkil tar ?   Neal Amal ke baghair utarna 
Image
Ek din sone ne lohe se kaha : Hum dono hi hathodi se pit tein jate hai par tum itna chillatein kyon ho "Jab apnahi apno ko Marta hai tho dard bahut hota hai" Jab kabhi Hume apno ne takleef diya tho bahut dard hota hai dilme har waqt unki takleef mahesus hoti hi raheti hai
Image
Kabhi kabhi aapki zaban se Anjane me aada kigaye alfaz  Samne wale par sadiyaou Ka bojh  Chod jate hai Kabhi kabhi hum gusse me ya be khayal me kisi ko apni zaban se be inteha nafrath ke alfaz kahe dete hai  Jisse vus insaan ko bahut gaheri takleef pahunchti hai aur Hume asar bhi Nahi hota  Meharbani farma kar hum har waqt apne zaban ko sonch samaj kar istemal kare  Is me hamari bhi khusi hai aur dusrou ki bhi khusi hai
Image
         Walid ki qhadar karo Walid ke samne uncha na bolo Walid ki saqhti bardash karo Walid Ka ahetram karo Walid ki batein ghaur se suno Walid ke samne nazar jhuka kar rakho Walid ki zindagi tajrubaat ki khuli kitab hai Allah ne bhi yahi kaha apne walidein ki qhadar karo aur unhe khush rakho  Kyon ki A tumari jannath hai aur A hi tumahra Sab kuch hai
Image
1.  Dilko sukun chate ho tho hasad  se bacho, 2. Zindagi ki musibatein halki Karna chate ho tho gunah ho se bacho, 3. Islah chate ho tho ghalti ko tasleem karlo, 4. Khusi chate ho tho dusrou ko khusi do, 5. Kamiyabi chate ho tho maa baap ki khidmath karo,
Image
Zindagi bahut muqtasar hai Jab samaj aane lagti hai tho Duniya me rahene Ka waqt Bahut kam rahe jata hai Hum ne dekha hai ke bachpan me hum samaj tey they ke duniya aisi khubsurath hai aur jab jawani me aa pahuche tho samajte hai ke duniya Sab kuch meri hai aur jab bhudapa ajaye tho aab kahete hai ke hamara kuch bhi Nahi bas kuch din ki duniya hai phir tho mauth hi haqeeqat hai
Image
Sabar Karna Sikh le ..... Allah Sab janta hai,wo janta hai aap kab kin waqtou se guzar rahe hai  Yaqeen kare waqt badal jayega  Kyon ki tabdili kaainath Ka vusul hai
Image
Ye itni khubsurath duwa hai ke dil chata hai bar bar duwa du...,... "Allah tala aapko itna ata farmaye  Jitni vuski Shan hai.... Itni khatayein maaf farmaye jitna  Wo Raheman hai...... Aazmaisho se itna mahfuz rakhe jitna Wo maherban hai
Image
Gunah kuch aur Nahi hai  Balke wo divar hai Jo insaan ne apne aur  Allah Pak ke darmiyaan  Haail karli hai
ایک آدمی نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا کون سا اسلام بہتر ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تو کھانا کھلائے اور ہر شخص کو سلام کرے خواہ اس کو تو جانتا ہو یا نہ جانتا ہو۔ Sahih Bukhari hadees no:28 Ek aadmi rasool Allahﷺ se Pucha kounsa Islam behtar hai ? Aap ﷺ ne farmaya ke tu khana khilaye aur har shaksh ko salam kare qhawa vusko Tu janta ho ya na janta ho, Aap ﷺ  pucha gaya ke achcha Islam koun sa hai tho aap ne kitni achchi baat kahi, hum dekhte hai ke hum ghar se bahar nikle tho kitna aise insaan Jo bhuke nazar aate hai jinhe hum dekh kar anjaan hojate hai  Aur koi anjana insaan hamare samne aajaye tho hum vuse salam Nahi karte, Aisa na kare, aap ﷺ ne Jo farmaya vus par thoda Sa Amal karke tho dekhe  Hamare andar kaisi tabdili aati hai aur hamari izzat kitni buland hoti hai Jithna humse hosake vutna hi kare
Image
Hum nafrato ke is qhadar aadi ho chuke hai ke..... Mohabbatein batne wale ko bhi shak ki nigha se dekhte hai Hum dekhte hai ke agar koi insaan akar kisi se achchi baat kahe ya kuch vuske liye sahi faisla kare tho wo insaan sochta hai ke isne mere saath kyon aisa kiya iske piche zaroor kuch na kuch hai  Aisa khayalath har insaan ke andar aam hochuke hai
Image
                    Aaag Ek aaurath ne ek aalim se pucha  Mai apne bachcho ke saath aisa kya karu ke fajar ke waqt namaz ke liye gaheri neend ke BA wajood unko utta saku,? Aalim ne kaha tum vus waqt kya karogi jab bachche gaheri neend so rahe ho aur ghar me aag lag jaye ? Aaurath ne kaha Mai unhe jagaungi Aalim ne kaha Vunki neend gaheri huyi aur wo na uttey tho Aaurath ne kaha Allah ki khasam Mai unhe gardano se pakad kar ghasidte huye aag se bacha kar bahar le jaaongi Tab aalim ne jawab diya agar tum duniya ki aag se bachane ke liye a karogi tho phir unhe jahannum ki bhadakti huyi aag se bachane ke liye aaisa hi karo
Image
Duniya ki behatreen aaurath Rasool Allah ﷺ se pucha Gaya: Koun si aaurath (female)behtar hai ? Aap ﷺ ne irshad farmaya: Wo aaurath sabse behtar hai ke  1.Jab shohar(husband)vuski taraf dekhe tho wo shohar ko khush karde  2.Jab shohar kisi kam Ka hukum(order) de tho bajaavri(jaldi)kare 3.aur shohar ki marzi ke qhilaf apne jaan o mall me tassruf na kare
Image
Hadees A Nabvi ﷺ  Huzur ghar tashreef laye tho roti Ka tukda gira huwa dekha Aap ﷺ ne vuse vutta kar saf kiya aur kha liya aur farmaya aai Aisha izzat dar chiz ki izzat karo jab Allah kisi qhaum Ka rizzaq chin leta hai tho wapis Nahi karta
Image
Kabhi kabhi achche logon se bhi ghaltiyaan hojati hai, Is Ka matlab a Nahi hota ke wo bure hai,vuska MATLAB ye hai ke wo bhi insaan hai Hum aksar dekhte hai hamare bich koi achcha insaan ghati/gunah/koi bura kam Karta hai tho hum vuse bura aur bahut bura kahete hai, Aisa kahena insaniyath Nahi hai Balke hum aisa kahe wo bhi insaan hai wo koi farishta Nahi ke vus se ghaltiyaan na ho Wo tho insaan hai gunah karta hai ghaltiyaan karta hai hum unhe maaf karde aur un par koi elzam na lagaye 
Image
Mujko chav me rakha aur qhud jalta raha dhup me ! Maine dekha hai ek farista baap(Dad) ke roop me ! Hum aur hamari haqeeqat kya hai  hum Sab kuch apne walidein se hai  Unhone khud bhuka rahekar hame khilaya Khud pyasa rahekar hame pilaya Jab hame kuch hojata tho wo apne aapko bhuljate they apni duniya KO bhuljate they vus waqt tak jab tak achche na hojaye  A wo faristein hai Jo hame maa baap ke roop me mile  In se badkar duniya me kuch bhi nahi
Image
           SUNHERI HURUF PARESHAN halath se Nahi qhayalat se paida hoti hai, Behatreen aankh wo hai Jo HAQEEQAT Ka samna kare, Duniya me sabse mushkil kam apni ISLAH  karna, Aur aasan kam dusrou par TANQHEED  Karna hai, NAFRATH dilka pagal pan hai, Insaan zindagi se MAYOOS ho tho kamiyabi bhi nakami NAZAR aati hai,
Image
Hadees e qhudsi ﷺ  Aai ibne aadam ek meri chahat hai  Aur ek Teri chahat hai  Hoga wahi Jo meri chahat hai,pas agar tune supurd kardiya vusko Jo meri chahat hai  Tho wo bhi Mai tujeh de doonga Jo Teri chahat hai,agar tuney muqhalifath ki vuski Jo meri chahat hai, Tho Mai thaka dunga tujko vus me Jo Teri chahat hai phir wahi hoga Jo meri chahat hai, Allah ye kahera ha hai ke : Ek kwaish vuski hai aur ek kwaish hamari hai, Agar hamari kwaish Puri hona hai tho hum Allah ki kwaish Puri Kar Allah ki kwaish a hai ke vus ne jo bataya wo kaam hame Karna hai vusne no Nahi kaha wo kam Hume Nahi karna hai  Agar hum aisa karenge tho Allah hamare kwaisho ko pura karega 
Image
      EK BUZURG SE KISI NE PUCHA Ke Ebadath karne ke liye behatreen din koun sa hai,Buzurg ne kaha mauth se ek din pahele,aadmi ne hairath se kaha ke mauth Ka waqt tho malum nahi, Buzurg ne farmaya tho phir zindagi Ke har din KO aaqhri samjho,.
Image
              SRIF EK BAR Kisi ne kaha ke bachpan ek bar milta hai qhub khel kud karlo.......... Kahi se awaz aai college aur university ki life ek bar milti hai qhub masti karlo........ Kisi ne kaha jawani dewani hai sare maze karlo....... Lekin afsos kisi ne ye Nahi kaha ke zindagi bhi srif ek bar milti hai     ALLAH KO RAZI KARLO
Image
Chalne wale do pairo me kitna Farqh hota hai ek aage aur dusra piche,magar na aage wala ghuroor mahesus karta hai,na piche wala tauheen,kyon ki dono jante hai ke pal bhar me jageh badal ne wali hai,bas esi ko zindagi kahete hai,
اعمش نے ابراہیم نخعی سے سابقہ سند کے ساتھ روایت کی کہ حضرت عبد اللہ بن مسعود رضی ‌اللہ ‌عنہ نے کہا : رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا:’’ کوئی انسان جس کے دل میں رائی کے دانے کے برابر میں ایمان ہے ، آگ میں داخل نہ ہو گا اور کوئی انسان جس کے دل میں رائی کے دانے کے برابر تکبر ہے ، جنت میں داخل نہ ہو گا ۔ ‘‘ Sahih Muslim hadees no:266 Aams ne Ibrahim naqi se sabqha sanad ke saath riwayat ki hazrat abdulla bin masood ؓ ne kaha rasool Allahﷺ ne farmaya: koi insaan jiske dil me raai ke Dane ke barabar me emaan hai aag me daqhil na hoga aur koi insaan jiske dil me raai ke Dane ke barabar takabbur hai jannath me daqhil na hoga, Hum kabhi apne aap me takabbur ko na daqhil hone de chahe wo Elm ka ho ya daulath Ka ho sabse zyada apne Amal Ka ya apne aqlaaq Ka ho koun sa bhi ho is se bache ye insaan ki bahut badi bimari hai Jo Hume jeete jee barbad kardegi
شعبہ نے کہا : میں نے قتادہ کو حضرت انس بن مالک رضی ‌اللہ ‌عنہ سے حدیث بیان کرتے ہوئے سنا ، انہوں نے نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ سے روایت کی کہ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا:’’ تم میں سے کوئی شخص مومن نہیں ہو سکتا یہاں تک کہ وہ اپنے بھائی کے لیے ( یا فرمایا: اپنے پڑوسی کے لیے بھی ) وہی پسند کرے جو وہ اپنے لیے پسند کرتا ہے ۔ ‘‘ Sahih Muslim hadees no: Shaba ne kaha : Maine qhatada ko hazrat anas bin Malikؓ se hadees bayaan karte huye suna, unhone Nabi Kareem ﷺ se riwayat ki ke aap ﷺ ne farmaya: Tum me se koi shaksh momin Nahi ho sakta yahan tak ke wo apne bhai ke liye (ya farmaya apne padosi ke liye bhi) Wahi pasand kare Jo apne liye pasand karte ho  Kitni achchi baat kahi aap ﷺ ne  Jo hum pahente hai ya khate hai wahi hum apne dosto ko apne ristedaro ko aur padosiyou ko aur apne naukaro ko  Wahi pasand kare jo humne apne liye pasand karte hai  Phir aap dekhenge ke aapki zindagi me kaise badlau ayega aapki izzat kitni buland hogi aapko har koi apna samjhega
قتادہ نے حضرت انس بن مالک رضی ‌اللہ ‌عنہ سے روایت کی ، انہوں نے کہا کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا : ’’ تم میں سے کوئی شخص ( اس وقت تک ) مومن نہیں ہو سکتا جب تک میں اس کے لیے اس کی اولاد ، اس کے والد اور تمام انسانوں سے بڑھ کر محبوب نہ ہوں ۔ ‘‘ Sahih Muslim hadees no:169 Qhatada ne hazrat anas bin Malik ؓ se riwayat ki, unhone kaha ke rasool Allah ﷺ ne farmaya: tum me se koi shaksh (vus waqt tak)momin Nahi ho sakta jab tak Mai(aap ﷺ)vus ke liye vuski aaulad,vuske walid aur tamam insano se badkar maheboob na ho, Hum aaj Allah ko aur Allah ke rasool ﷺ ki itna Nahi chahate jitna hum apne ahel o ayal ko aur apne mall ko chahate hai agar hum aisi zindagi guzarenge tho kya hum apne aapko momin kahe sakte hai,
عمرو بن حارث نے یزید بن ابی حبیب سے ، انہوں نے ابوخیر سے روایت کی اور انہوں نے حضرت عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی ‌اللہ ‌عنہ سے سنا، وہ فرما رہے تھے : ایک آدمی نے رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ سے پوچھا: مسلمانوں میں سے بہتر کون ہے ؟ آپ نے فرمایا:’’ جس کی زبان اور ہاتھ سے دیگر مسلمان امن میں ہوں Sahih Muslim hadees no :161 Amru bin haris ne yazeed bin abi habeeb se,unhone Abu khair se riwayat ki aur unhone hazrat abdulla bin amru bin aas  ؓ se suna ,wo farmate they : Ek aadmi ne rasool Allah ﷺ se pucha : Musalmano me se behtar koun hai ? Aap ﷺ ne farmaya:jis ki zaban aur haat se digar musalman aman me ho, Dekhiye Allah ke rasool Allahﷺ ne kitni achchi baat kahi Zara ghaur kare sabse achcha musalman so hai Jo kisi dusrou ko apne zaban aur haat se takleef na pahunchaye 
Image
Zara dekhe inko inhone Allah ko kitna achcha yaad rakha hai namaz ke waqt me namaz ko aada kar rahe hai  Allah Hume bhi aisi taufeeq de  Allah tujhe chaha ne wala bana  Hume aisa bana ke Hume na duniya yaad rahe na duniya ki koi shai yaad rahe  Bas Tu aur srif Teri mohabbat hamare dil me har lamha aabad rahe Aai Allah hamari ye duwa khubool kar
Image
Ek zamana aisa bhi aayega ke log apne Rab ko bhul jayenge,libas bahut khimti pahen jar bazar me akad akad kar chalenge aur is baat se beqhabar honge ke, Bazar me vunka qafan bhi maujood hai Hazrat Ali ؓ  Aaj hum apne rabko bhul rahe hai(yani namaz Ka waqt hota hai tho hum namaz ko chod kar apne kaam me masroof raheta hai)apni 24ganto ki zindagi me humne Allah ko kitna yaad rakha hai  Zara ghaur Karo mere azizo hum ko vusi ke pass Jana hai jaha se aye hai
Moulana Tariq jameel Sab Ka beautiful shot bayaan  Aajke daur ki haqeeqat 
Image
Waqt ki pukar... Ibless ne Allah rabbul izzat se kaha : Teri izzat ki khasam tere jalal ki khasam Mai zaroor ba zaroor vunko gumrah karta rahunga jab tak ke vunki roohein vunke jism mo me hai : Allah tabarak watala ne farmaya : Meri izzat ki khasam meri jalal ki khasam albatta zaroor ba zaroor vunko maaf karta rahunga jab tak ye log mujhse astagfar (gunah ho ki baqhshish) karte rahenge
Image
          Aai Allah...... Is se pahele ke ye duniya mujeh ruswa karde, Tu mere jism meri rooh ko achcha karde, Ye halath apni Jo Maine khud banai hai magar, Jaisa tu chata hai aab mujhe vaisa karde, Mere har faisle me Teri raza ho shamil, Jo tera hukum ho wo mera erada karde,
Image
             Yaa Rab ! Mai ek khilona mitti ka Tere kun se Jo taqhleeq huwa Tere karam ne di rooh kya mujhe  Tere hukum se saans chalti hai Tere fazal se hasti qhayam hai Tu Awwal Tu hi aaqhir hai  Tu zahir hai Tu Batin hai Mere sare zang utar ya Rab ! Aur apna rang chada mujh pe ! 
Image
                            ALLAH Jab aapke aankho me bahut se aansu jama hojaye,jab aapke dhuko Ka koi madwad na ho,jab kisi se kuch kahene Ka hausla na ho,tho aap kabhi pareshan na hona,bas vus zath Bari tala ki janib dekhna,vus se apna dukda kahedena,vus ki ek mohabbat bhari nazar ke karam ki duwa mangna,beshak wahi tho hai Jo rote ko hasa deta hai,wahi tho hai Jo bigdi bana data hai,aur wahi tho hai Jo dubti kashti ko par laga deta hai,bas vusi se ummid rakhna,vus par yaqeen rakhna,deyr ya sawer wo zaroor nawazta hai,duwa ki misal tho dastak ki tarha hai,aur musalsil dastak se darwaza khul hi jata hai
Apni awaz ke bajaye dalail ko buland kijiye ! Phul badal ke garajne se Nahi balke baras ne se ugtein hai Hume agar kuch Karna hai tho hum apne awaz ko buland na kare balke apne kaam ko mukammil kare Jo humne soncha hai kyon ki awaz Karna se kuch hasil Nahi hota balke khamoshi se apne kaam ko anjam de 
Zindagi me Jo chahe hasil Karo magar itna khayal rahe, ke tumahri kamiyabi Ka rasta logon ke dilo KO thodta huwa na guzre, Jab hum kamiyabi ke raste ko tham Kar chalte hai tho Zara dekhe hamari kamiyabi se kisi ko takleef ho rahi hai ya Nahi agar kisi ko takleef horahi ho tho tumahri kamiyabi bekar hai
میں نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا، نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اگر انسان کے پاس مال کی دو وادیاں ہوں تو تیسری کا خواہشمند ہو گا اور انسان کا پیٹ مٹی کے سوا اور کوئی چیز نہیں بھر سکتی اور اللہ اس شخص کی توبہ قبول کرتا ہے جو ( دل سے ) سچی توبہ کرتا ہے۔“ Sahih Bukhari Hadees no :6436 Maine Nabi akram ﷺ se suna, Nabi Kareemﷺ  ne farmaya" agar insaan ke pass mall ki do wadiya ho tho teesri kwaishmand hoga aur insaan Ka pet mitti ke Siva aur koi chiz Nahi bhar Sakti aur Allah vuski tauba qhubool karta hai Jo (dilse) sachchi tauba karta hai Hum be dekha hai agar see hamare mall me ezafa huwa hai phir bhi hum aur mall ki talab karta raheta hai Aap ﷺ ne wahi farmaya 
Image
Insaan Ka Apne Dushman se inteqaam Ka sabse achcha tariqha ye hai ke wo apni qhubiyao me ezafaa kare
Image
      Zara sonche......! Andhera aapko andhere se Bahar nahi nikal sakta,srif raushni hi aisa kar Sakti hai, Nafrath aapko nafrath se Bahar nahi nikal Sakti,srif mohabbat hi aapko nafrath se Bahar nikal Sakti hai
Image
Izzath ke moti par agar ek bar  Mail ajaye tho,saikdo dariya bhi vuse dhonahi sakte, Aajke mahol me apni izzath achchi hai tho vus izzath pe anch ane na de kyon ki agar ek bar apni izzath pe daag aajaye tho dubara vus izzath ko banane ke liye bahut papad belne padte hai
Image
Achcha dost chahe jitnibar roothe vuse bar bar mana Lena chahiye, kyon ki tasbeeh ke Dane chahe jitnibar bikhre chin liye jate hai, Hazrath Aliؓ  Agar se hamara achcha dost ya achcha rahebar humse rooth jaye tho hum vunhe manale kyon ki achcha dost ya achcha rahebar hamari bhalai sonchta hai aur wo hamari burai kabhi nahi sonchta,
Image
           Nikate danish Jo Shaksh inteqaam ke tariqho par ghaur karta raheta hai, Vuske zaqhm hamesha taaza rahete hai, Agar se hamara koi Dushman hai ya hamara kisi ne bura hall kardiya  Tho hum A sonchte rahete hai ke badla kaise le,aisa na kare kyon ke esey insaniyath nahi kahete, Insaniyath aur Achche Aqlaaq tho wo hai Jo tum se dushmani kare aur tumarah bura hall kare aur tum vunhe maaf kardo  Yehi insaniyath Ka paimana hai  Jo hamare Nabi A Akram ﷺ batake gaye
Image
Agar tum kisi ko dhoka dene me kamiyab hojate ho tho A na samajna wo kitna bewaquf hai,Balke ye sonchna ke vus ko tum par aaithbar kitna tha!!! Kuch aise log hote hai Jo aksar kafi hadh tak dhoka dete rahete hai aur A samajh te hai ke Mai kamiyab hogaya lekin vunhe A samajh nahi aati ke Maine vuse dhoka diya aur wo mujhe par kitna aaithbar (bharosa)karta hai,
Image
Tumahre nafs ki khimath jannath hai aur vuse jannath se kam khimath me kabhi nahi bechna  Hazrath Aliؓ  Humare andar aksar kwaish jagte rahete hai vun kwaisho Ka ek bar mutala karle ke wo haqh par hai ya nahi agar haqh(yani hamare kwaishein  Jo hamare Nabi A Akram ﷺ ne Jo halal tariqha bataya wo kwaishath vus mutabiqh hai ya nahi dekhle)par nahi hai tho chod de vun kwaisho kechod badle aapko jannath milegi  Varna aap vun kwaisho ko pura karenge tho aap ko jahannum naseeb hogi
Image
Badh kirdar dusrou ke kirdar ko aur be emaan dusrou ke emaan ko hamesha Shak ki nigah se dekhta hai Aapne dekha hoga Jo insaan bura aur badh kirdar aur Shak ki nazar se dekhta hai aise insaan ko chahe aap haqeeqat hi bataye tho yaqeen nahi karta  wo insaan  hamesha wahi mahesus karta hai Jo aaib vuske aandar maujood hai Aise insaano se qhud bhi mahfuz rahe aur dusrou ko bhi mahfuz rakhe
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ دشمنی رکھتا ہے تڑتڑ بولنے والے ایسے لوگوں سے جو اپنی زبان کو ایسے پھراتے ہیں جیسے گائے (گھاس کھانے میں) چپڑ چپڑ کرتی ہے، یعنی بے سوچے سمجھے جو جی میں آتا ہے بکے جاتا ہے ۔ Abu dawood Hadees no:5005 Rasool Allahﷺ ne farmaya : Allah tala dushmani rakhta hai tad tad bolne wale aise logon se Jo apni zaban ko aise phiratein hai jaise gai(ghas khane me chid chid karti hai,yani be sonche samjhe Jo Ji me aata hai bake jate hai Khulasa  Allah dushmani rakhta hai aise logon se Jo bina sonche samjhe Apne baato ko bhad bhad bolte rahete hai A bhi nahi sonchte ke hum Jo kahe rahe hai in alfaaz se kisi ko takleef ho rahi hai ya nahi  Aise logon se Allah dushmani karta hai
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم جھوٹ سے بچو، اس لیے کہ جھوٹ برائی کی طرف لے جاتا ہے، اور برائی جہنم میں لے جاتی ہے، آدمی جھوٹ بولتا ہے اور جھوٹ میں لگا رہتا ہے، یہاں تک کہ وہ اللہ کے نزدیک جھوٹا لکھ دیا جاتا ہے اور سچ بولنے کو لازم کر لو اس لیے کہ سچ بھلائی اور نیکی کی طرف لے جاتا ہے اور نیکی جنت میں لے جاتی ہے، آدمی سچ بولتا ہے اور سچ بولنے ہی میں لگا رہتا ہے یہاں تک کہ وہ اللہ کے نزدیک سچا لکھ دیا جاتا ہے ۔ Abu dawood Hadees no:4989 Rasool Allahﷺ ne farmaya : Tum Jhut se bacho,is liye ke Jhut burai ki taraf le jata hai, aur burai jahannum me le jati hai,aadmi Jhut bolta hai aur Jhut me laga raheta hai,yahan tak ke wo Allah ke nazdeek Jhuta likh diya jata hai Aur sach bolne ko lazim karlo is liye ke sach bhalai aur neki ki taraf le jata hai aur neki jannath me le jati hai,aadmi sach bolta hai aur sach bolne hi me laga raheta hai yahan tak ke wo Allah ke nazdeek sachcha likh diya jata hai
تمہارے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ہر بھلی بات صدقہ ہے ۱؎ ۔ Abu dawood Hadees no:4947 Hamare Nabi A Akram ﷺ ne farmaya: Har bhali(achchi) baat sadqha hai Hum be kisi ko achchi baat kahi ya kisi ko sidha raasta dikhaya tho wo sadqhe ke barabar hai
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو ہمارے چھوٹے پر رحم نہ کھائے اور ہمارے بڑے کا حق نہ پہنچانے (اس کا ادب و احترام نہ کرے) تو وہ ہم میں سے نہیں ۔ Abu dawood Hadees no:4943 Nabi a Akram ﷺ ne farmaya: Jo hamare choto par rahem na kare aur hamare bado Ka haqh na pahunchane(vuska aadab o ahetram na kare) tho wo hum me se nahi Aap ﷺ ne farmaya Jo insaan chote bachcho par rahem(yani narmi se) aur buzurgo ko vunka haqh(yani vunki badai aur vun se izzath se pesh aaye) Agar Jo insaan aisa nahi karega wo insaan hum me se nahi(yani insaan hi nahi)
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس نے جھوٹ نہیں بولا جس نے دو آدمیوں میں صلح کرانے کے لیے کوئی بات خود سے بنا کر کہی۔ احمد بن محمد اور مسدد کی روایت میں ہے، وہ جھوٹا نہیں ہے: جس نے لوگوں میں صلح کرائی اور کوئی اچھی بات کہی یا کوئی اچھی بات پہنچائی ۔ Abu dawood Hadees no:4920 Nabi a Kareem ﷺ ne farmaya  Vusne Jhut nahi bola jisne do aadmiao me sulah karane ke liye koi baat qhudse banakar kahi - Ahmed bin Mohammed aur masdad ki Riwayath me hai wo jhuta nahi hai : Jisne logon me sulah karai aur koi achchi baat kahi ya kahewai ya achchi baat pahunchti Koi do shaksh me ladai agar ho tho aap vun dono ko milane ke liye koi achchi baat chahe Jhut kyon na ho vunhe milaye  Inshaallah Allah aapko zaroor vuska aajar aata farmayega
Image
Aaj ki baat Ek JOKER ne logon ko ek latifa sunaya Tho Sab log bahut Zyada hasein,, Vusne wahi latifa phir sunaya tho kam log hasein,teesri baar vusne wahi latifa phir sunaya tho koi bhi na hasa Tho phir vus JOKER ne ek bahut khubsurat baat kahi, Agar tum log ek khusi ko lekar  bar bar khush nahi ho sakte Tho phir ek gham ko lekar bar bar rote kyon ho, Zara sonche Hume kuch gham aajaye tho hum bar bar apno se Gila karte hai ke mujhe ye gham hai ye takleef hai 
Image
Ek dafa ek shaksh ne hazrath Aliؓ se pucha agar Allah tala ki zath hai tho mujhe dikhaye...... Hazrath Aliؓ ne farmaya....... Suraj ki taraf dekho vus shaksh ne kaha Mai nahi dekh sakta kyon ke suraj ki shuayein meri binaai(aankhe)ko nuqsaan pahuncha yegi , Hazrath Aliؓ ne farmaya....Agar tum taqleeq ko nahi dekh sakte ,tho tum kis tarha taqleeq karne wale ko dekh sakte ho,? Allah tala par baghair dekhe yaqeen rakho,
Image
Tabdili ke baghair taraqqhi na mumkin hai,aur Jo log qhud apni sonch tabdil nahi kar sakte wo koi tabdili nahi la sakte
Image
Bura waqt wo shafaf aaina hai  Jo bahut se chahere wazi kardeta hai Jab hum par koi bura waqt aata hai tho hum apno ke pass jatehai  Hume a takleef hai hamari a takleef ko dur karo Vus waqt hum ko maloom hota hai ke koun hame apnayega koun humko zalil karega Isy liye hum a kahete hai ke bura Waqt insaan Ka sabse behetreen waqt hota hai kyon ki Sab ke chahere khule aaine ki tarha dikhata hai
Image
Duniya daro par apna dukh math zahir karo ke ye wahan chit zaroor lagate hai jahan pahile se zaqhm hota hai, Aisa aksar hum se hota hai  Jab hum kisi takleef  me rahete hai tho hum kisi shaksh ko dekh kar apni takleef ko ya dard ko zahir karte hai  Wo log wahi par Jake zahir karte hai jahan se Hume takleef ya dard Mila Aise logon se Apne dukhon ko zahir na kare
Image
Agar kuch sikhne chate ho tho qhulus e neeyath sharth hai kyon ke  Sachcha mureed jhute mursheed se bhi kuch paaleta hai Lekin jhuta mureed sachche mursheed se bhi kuch nahi hasil karta Hume kuch sikhna hai tho pahele apni achchi neeyath ko bana le aur  Phir wo sikhe Jo hum sikhna chate hai
Image
Baap ki maujood gi suraj ki manind hoti hai suraj garam zaroor hota hai  Magar suraj na hoto andhera chajata hai_ Hum Jo kuch bhi hai Apne Walidean se hai agar wo nahi tho hum kuch bhi nahi Sab kuch vunhi ke tufeal zindagi hai  Vunka adab o ahetram karo zindagi ke har pal vunse mohabbat karo  Vunhe kabhi naraaz math karo
Image
Agar log tum se mutasir ho rahe hai Tho takabbur na karo shukar ada karo Apne rabka jisne tumahre aaib chupa kar tumeh logon me muaziz(yani uncha)bana rakha hai
Image
Jab tak koi baat Teri muh me band hai thab tak Tu vus Ka Malik hai, Jab zaban se nikal di tho wo Teri Malik hai  Hazrath Aliؓ 
Image
"Jis daraqth ki lakdi narm hogi vus ki shaqhe Zyada hogi,bas narm tabiyath aur narm guftar banja O tha ke tumahre chane wale Zyada ho"_ Hazrath Aliؓ 
Image
Insaan ko bolna sikhne ke liye ek saal lagta hai, Magar koun sa lafz kaha bolna hai sikhne ke liye Puri zindagi lag jati hai
Image
Dusrou ki khusi ke liye apna gham chupa na bahut badi neki hai Agar koi shaksh aapke pass aakar ya kahe ke Mai aaj bahut khush hu  Aur aap vus waqt ghamgeen ya takleef me hai tho thodi deyr ke liye apne gham ko aur takleef ko chupaye Aur vus shaksh se Jo khush hai vuske khusi me hissa le  Inshaallah Allah apke gham ko aur takleef ko dhur karega
Image
Sheik saaed ؒ  Tajjub hai apni utni sari Maqlooq me se mujhe nahi bhulta aur mera tho ek hi Allah hai Mai vuse bhul jata Hun Zara sonchne ki baat hai Allah ne duniya me bahut sari Maqlooq banai hai magar Allah kisi ko rizk dena nahi bhulta  Magar Hume tho ek hi Allah hai hum vuse har waqt yaad nahi rakhte
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم لوگ ایک دوسرے سے بغض نہ رکھو، ایک دوسرے سے حسد نہ کرو، اور ایک دوسرے کو پیٹھ نہ دکھاؤ (یعنی ملاقات ترک نہ کرو) اور اللہ کے بندے بھائی بھائی بن کر رہو، اور کسی مسلمان کے لیے یہ درست نہیں کہ وہ اپنے بھائی سے تین دن سے زیادہ ملنا جلنا چھوڑے رکھے ۱؎ ۔ Abu dawood Hadees no :4910 Nabi A Akram ﷺ ne farmaya : Tum log ek dusre se bughaz na rakho,ek dusre se hasad na karo,aur ek dusre ko peet na dikhao (yani mulaqath tark na karo)aur Allah ke Bande Bhai Bhai bankar raho,aur kisi musalman ke liye ye durusth nahi ke wo Apne Bhai se teen din se Zyada milna jhulna chod rakhe 
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: رحم کرنے والوں پر رحمن رحم فرماتا ہے، تم زمین والوں پر رحم کرو، تو آسمان والا تم پر رحم کرے گا ۔ Abu dawood Hadees no:4943 Nabi A Akram ﷺ ne farmaya : Rahem karne walo par raheman rahem farmata hai ,tum zameen walo par rahem karo ,tho Asmaan wala tum par rahem karega Hum apni zindagi ke surate hall me har ek se rahem kare apno se bhi aur ghairo se bhi  Inshaallah Allah hum par bhi rahem karega duniya me bhi aur Aaqhirath me bhi
Image
Wo ek ungli Jo mushkil waqt me aapke aansu pochti hai vun dus ungliyao se behtar hai  Jab aapki kamiyabi par taliya bajati ho Jab hum takleef me hote hai vus waqt koi akar Hume samjhata hai  wo shaksh Hume kafi hai vunse  Jo humari kamiyabi ki dekh kar ye kahete hai wah Apne kya mahnath ki hai apki mahnath Ka sila aapko milgaya Aur jab hum apni mahnath se nakaami hasil hoti hai  Vus waqt koi akar Hume nahi kaheta  Vus waqt aapke khareeb Jo shaksh hota hai wahi aapke liye Sab se behtar hai