Insaani muashre me
Sadqha dene ki asaan suratein
Hazrat Abu zar raziallah tala anha se
Riwayat hai ke
Rasool Allah sallallahu alai wasallam ne farmaya
1. "Tumahra"apne Bhai se muskurake Kar pesh aana bhi sadqha hai,
2. Neki Ka hukum aur burai se rokna bhi
Sadqha hai,
3. Ajnabee sar zameen me bhatke huye shaksh
Ko rasta batana bhi
Sadqha hai,
4. Kamzor binae(andha)wale shaksh ki rahenumai Karna bhi
Sadqha hai,
5. Raste se patthar kanta aur haddi(wa gaira ka)
Hatana bhi sadqha hai,
6. Apne bartan se apne Bhai ke bartan
Me pani dalna bhi
Sadqha hai,
Comments