
Posts
Showing posts from March, 2017
- Get link
- X
- Other Apps
رَبَّنَاۤ اِنَّنَا سَمِعۡنَا مُنَادِیًا یُّنَادِیۡ لِلۡاِیۡمَانِ اَنۡ اٰمِنُوۡا بِرَبِّکُمۡ فَاٰمَنَّا ٭ۖ رَبَّنَا فَاغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوۡبَنَا وَ کَفِّرۡ عَنَّا سَیِّاٰتِنَا وَ تَوَفَّنَا مَعَ الۡاَبۡرَارِ all imarn ۱۹۳ Aai hamare Rab ! humne suna ke munadi karne wala ba awaaz buland Eman ki taraf bula raha hai Logon apne Rab par Eman lavo ! Pas hum Eman laye yaa Elaahi ! Aab Tu hamare gunah maaf farma Aur hamari buraiyaan humse dhoor karde Aur hamari mauth nekiyao ke saath Kar,
- Get link
- X
- Other Apps

Jis shaksh ko kwaish e nafs halakat me Phasayein, Wo saqt gumrah aur badkar hai, Jab insaan apni kwaisho ko badata hai Vus waqt a Nahi sonchte ke A kwaish haqh par hai, Ya na haqh par hai , Bas srif vus kwaish ke lazzatho ko pura karne me apni zindagi ko barbad karta hai, Aur vus tariqhe se badkar hojata hai,
- Get link
- X
- Other Apps

Ek aadmi paltu thota(Parrott)Billi(cat) le gai Wo rone laga, Logon be kaha ro math dusra thota khareed Lena, Vusne kaha Mai thote ki judai me Nahi ro raha, Maine vuse kalma sikhaya tha, Jo har waqt kalma padta tha, Lekin jab Billi vus pe jhapti tho wo te te karne laga aur kalma bhul Gaya, Mujhe fikar hai, Ke kalma tho Mai bhi padta hi aisa naho Jab mauth mujhe pe jate tho kahi Mai bhi Kalma bhul Jaon, Allah hamari zaban par mauth ke waqt kalma Jari farma, Ameen........
- Get link
- X
- Other Apps

Kisi ko hum bura kahe dene se na hum Bure hojate hai,na achchey, Apni zaban se har shaksh apna zarf dikha ta hai, Dusrou Ka Aks Nahi, Insaan ki fithrath aajke duniya me Apni tareef karta hai aur dusrou Ka gila(buraiyaan) karta raheta hai, Magar hamare Nabi a rahemath sallallahu alai wasallam ne farmaya tum dusrou ke buraiyaan na karo A bahut bada gunah hai,
- Get link
- X
- Other Apps

Jo shaksh waqhiyath ko ghaur aur Tamil ki nigah se dekhta hai, Wo vunse Ebrath Ka sabaqh hasil karta hai, Hum apne kamiyabi aur nakami ko ghaur karne ki aadath banale, Kyon ki hum apni kamiyabi aur nakami par ghaur karenge tho hame ek sabaqh hasil hoga, Aur wo sabaqh hame zindagi ke har mod par kam aayega, Ke falan kaam aisa Karna hai aur falan kam aisa Nahi Karna
- Get link
- X
- Other Apps

Kabhi insaan pattharo se zaqhm kha Kar Muskurata hai, Aur kabhi kante Ka zaqhm bhi vuse Nagawar guzar ta hai, Kabhi zaqhm dene wale ki aankh muskura Rahi hoti hai, Tho kabhi zaqhm khane wale ki aankh Nam hoti hai, Kabhi zaqhm dene wale Ka dil reza reza Hota hai, Kabhi zaqhm khane wala muskura Raha hota hai,
- Get link
- X
- Other Apps

Jahan sadaqhat aur qhuloos nazar aaye Wahan dosti Ka halath bada do, Varna tumari tanhaai tumari behatreen Dost hai, Agar hame kahi bhi aaisa insaan nazar Ajaye qhuloos a insaniyath maujood ho Aur wo insaan hamesha sadqha dene me bhi aage rahega, Vus insaan se dosti ke liye apne haath ko aage badaye,
- Get link
- X
- Other Apps

Mohabbat ki inteha tak pahunch ne ki Lagan Aur justaju hona bhi lazmi hai, Phir laakh zamane vus rah me rode atkaye Lekin wo log vus duniya me kamiyab hote hai Jo halat Ka mardana muqhabla karte hai, Hum agar Allah se sachchi Lagan ke saath mohabbat karenge tho, Hume Allah zaroor miljayega, Aur jab Hume Allah milgaya tho, ye duniya chahe hamari rah me kitne bhi mustakhilath ko mutayyin karegi Na kam hojayegi
- Get link
- X
- Other Apps

Har Ka khauf le Kar maidan me utarne wale Hamesha shakisth se do char hote hai, Fatah srif unke haath aati hai Jo haar maan ne se inkar Kar dete hai, Agar hum har Kam khauf le Kar kisi bhi kam me dakhil hote hai tho humko jeet hasil Nahi hogi, Hum haar hi jayenge Hum apne har ko achchi niyath ke saath Allah Ka naam lekar shuru kare inshaallah hame kamiyabi hasil hojayegi,
- Get link
- X
- Other Apps

Agar rizq aqhal aur danishmandi se milta, Tho janwar aur bewaqhuf bhuke marjate, Allah ne duniya me kitne maqhlooq ko banaya hai, Kisi ko bhuka Nahi rakha Har ek maqhlooq ko vuska rizq mutayyin kiya Gaya hai Chahe ho aqhal wala ho ya be aqhal ho Rizq tho dene wala Allah hai Aqhal rizq Nahi deti Danishmandi rizq Nahi deti A jaan Kar hum apni zindagi guzare
- Get link
- X
- Other Apps

Ek lafz hai "mohabbat"vuse Kar ke tho dekho Tum tadap na jao tho kahena, Ek lafz hai "muqhaddar" vus se ladke tho dekho Har na jao tho kahena, Ek lafz hai "wafa" zamane me Nahi milti Kahi dhoond pao tho kahena, Ek lafz hai "Judai" vuse sahe Kar tho dekho Bhikar Kar tootna jao tho kahena, Ek lafz hai "Allah"vuse pukar Kar tho dekho Sab kuch pa na lo tho kahena
- Get link
- X
- Other Apps
Hamare ginti ke saans muqharrar ho chuke hai, Na koi hadsa hame pahele maar sakta hai, Na koi hifazath humko deyr tak zinada rakh Sakti hai, Hamare zindagi Ka waqt mutayyin ho chuka hai, Tho hum apne aapko vuske hawale kar de jiske pass hamari zindagi hai, Bas hum Allah ko razi karle Yehi hamari zindagi Ka maqhsad bana Kar zindagi guzare Inshaallah hame Allah milgaya tho sari duniya hamari hai
- Get link
- X
- Other Apps
Waqt Sab ko milta hai, Zindagi badalne ke liye, Lekin, Zindagi dubara Nahi milti, Waqt badal ne ke liye, Jawani ka waqt hi bahut ahem hota hai Chahe hum apne aapko achcha banaye ya bura, Lekin jab a saans akhri waqt par aajaye tho hum kuch bhi Nahi Kar sakte Jaise they waise hi jayenge aur Jaise jayenge waise hi vuttyenge,
- Get link
- X
- Other Apps
Lamha fikar ya Hum kaha phas Gaye , 5. Ye Nahi pucha jayega ke tumne madarse me pada ya school me, Balke a pucha jayega, Jitna elm hasil kiya tha vus par kitna Amal kiya, 6. Ye Nahi pucha jayega ke tanqha kam thi ya zyada, Balke a pucha jayega, Ke halal tariqhe se kamaya aur halal jageh par karch kiya ya nahi 7. Ye Nahi pucha jayega ke tum makan me rahete ho ya bangle me, Balke a pucha jayega, Tumare azu bazu ke log bhuke sote they ya peat bhar ke,
- Get link
- X
- Other Apps
Lamha fikar ya Hum kaha phas Gaye ? 1. qhayamath ke din a Nahi pucha jayega ke tumahra kis maslak se talluq tha, Balke a pucha jayega, Kitab Allah aur sunnat a Rasool Allah ko mazbooti se thama ya nahi, 2. Ye Nahi pucha jayega Nabi a Kareem sallallahu alai wasallam noor they ya bashar, Balke ye pucha jayega, Ke tumne unki Etaath ki ya Nahi, 3. Ye Nahi pucha jayega jasn a miladun Nabiﷺ manate they ya Nahi, Balke a pucha jayega, Seeratun nabiﷺ par kitna Amal kiya, 4. Ye Nahi pucha jayega ke qhabar wale sunte hai ya Nahi, Balke a pucha jayega, Qhabar ki kya tayyari Kar ke aaye,
- Get link
- X
- Other Apps
Sangeen gunah aur vunke awaqhib o nataijh, 1.jis gunah se umar aur rizq kam hojata hai, Wo hai "maa baap se badh suluki Karna" 2. Jis gunah se insaan par laanath hoti hai, Wo hai "jhut," 3. Jis gunah se duniya me hi pakad hoti hai, Wo hai" zulm," 4. Jis gunah se azabe qhudawandi nazil hota hai, Wo hai "zina," 5. Jis gunah se Allah aur vuske rasoolﷺ ke qhilaf elan a jang hoti hai, Wo hai" sudh" 6. Jis gunah se Puri insaniyath tabah ho jati hai, Wo hai"na haqh qhatal" 7. Jis gunah se nematein chinjati hai, Wo hai "takabbur aur nashukri" 8. Jis gunah se duwaein khubool Nahi hoti, Wo hai "haram khana" 9. Jis gunah se barishey waqt par Nahi hoti, Wo hai"zakat ki adayigi me kotahi" 10. Jis gunah se Rab naraz hota hai, Wo hai "baap ko naraz Karna"
- Get link
- X
- Other Apps

Wazu karte ho magar israf karte ho, Tahajjud padte ho magar apne bhai se bolchal Nahi rakhte, Roza rakhte ho magar gheebath karte ho, Sadqha karte ho magar ahesan jatlate ho, Apni nekiyaan aisi thaili me na Jama karo jisme suraq ho, Hum apni zindagi me bahut nekiyaan karte hai Lekin vuske saath saath hum aise ghaltiyaankarte hai, Jiski wajah se hamare gunah barbad hote hai,
- Get link
- X
- Other Apps

Duniya me har maidan me har jeet hoti hai, Lekin Aqlaaq me kabhi har aur Takabbur me kabhi jeet Nahi hoti, Insaan agar apne andar aqlaaq ko sawar le tho Wo insaan ko kabhi bhi zindagi me pareshan Nahi hota aur kabhi bhi vus shaksh ki har Nahi hoti, Aur jis insaan ke pass takabbur aur ghuroor hai wo insaan ko kabhi jeet Nahi milti, Kyon ke jis ke pass takabbur ho vuse log chatein Nahi balke, Ankda huwa insaan kahete hai,
- Get link
- X
- Other Apps

Is se badi kya fakhar ki baat hogi, Ke Allah tala ne hame Hazrat Mohammed sallallahu alai wasallam ki ummat me paida farmaya, Alhamdulillah Beshak jis ke khatir Allah ne duniya banai Agar wo na hote tho duniya hi na hoti Jiske tufeal Allah sare Aalam ko banaya Hum vusi Nabi a rahemath ﷺ ummati hai, Kyon faqr na kare